Monday, 7 January 2013

kahaani


aakhon me ashqo ke saath likhi hai ye kahani,
mere tute dil ka haal mere aasuon ki jubaani.

us bewafa ne kia humpe aesa waar.
apna tan,man,dhan sab gaye unpe haar.

usne kaha tha us raat hamesha dungi tumhara saath..
dil todte samay kaha.main bhool gayi thi kaunsi woh raat..

uski yaad aati rahi par humse roya na gaya..
aur ek mehene tak bina sharab ka nasha kiye,humse soya na gaya..

meri baahon me baithi,mujhse kehti thi mere liye ye jahaan ho tum..
ab to sapno me bhi nahi najar aati,,jaane kaha ho tum???

itna chaaha tujhe is dil ne,kyu kiya ise tune ghayal??
bahot yaad aati hai teri,tera hasna aur chalkana wo teri paayal..

meri galti bhulakar tu mere paas aati kyu nahi??
ya is dil se hamesha ke liye jaati kyu nahi???

tere jaane ke baad in aakhon me rahi hamesha nami hai.
sochta rehta hoon hamesha kya mere pyaar me kuch kami hai??

itne gamo ke baad jeevan me aaya khushi ka ek saaya hai..
minnete karne ke baad mera mehbub mujhse milne aaya hai..

usne kaha humse,saabit karo tumhara pyaar kaisa hai??
mere nakhre utha pao kya tumhare paas itna paisa hai??

mere pyaar ko paiso se tolna,kya yeh sahi hai??
jo pasio se bike,wo pyaar pyaar hi nahi hai..

par us bewafa ne paiso ke lalach me mujhse muh moda..
aur apne pyaar ki yaadon ke saath mere dil ko tanha choda..
 
logone mujhe samjaya pyaar me milte is se jyada gum hai!!
par jo mere sath hua,kya woh kissa kuch kam hai??

garib to main tha hi,pyaar karne ki saja bhi maine paayi hai..
ye bhool baitha tha main,garibo ke naseeb me pyaar nahi sirf judaai hai..

. gamo ke saaye me jeeke,apne jeevan se haara hu main.
apni jaan ke bina,jeeti hui zinda laash,ek bechara hu main..
-Monish.Bhatia